Tera gaya hua main, Tera aaya hua main nahi Tere dar se utha tha jo kadam Woh kadam ab main nahi Jis din tu rootha main wo din bhool gaya Dard ko apni duaa kar liya Tere baad toh log kehte hain mujhse Ki yeh marna nahi, jeene ka naya tareeka hai saala Buddha sunke ye gaana bole – bada dard hai bacche mein Mere se zyada Main to 90 saal mein roya nahi itna Aaj teri awaz sun ke pighla Bole – dekh beta, teri aankh se wo aansu Jo maine kabhi tapakne nahi diye Tu aa… nahi sakta Main jaa… nahi sakta Bass mar… nahi sakta Aur jee… nahi sakta To kahan le chal raha hai tu apna ye dil Tere kadam ki aahat ya apni aakhri saans ka intezaar Dono ek jaise lagte hain ab Ek rukta nahi, ek aati nahi Aur main… beech mein ruk gaya Hawa se pooch – kya wo aayegi? Hawa boli – main udti hun, main nahi janti Tujhe kya batati Tu toh khud apne zakhm ka samandar hai #Hidden_singer 🙂😂